Latest love shayari and sms

love shayari

Love sms, shayari, hindi latest messages I found over the internet I am sure you will like shayari in hindi

Insaan ki fitrat hai ke Naraaz hota hai…
Yeh bhi kya, koi andaaz hota hai…
Us waqt mere chehre ki rangat badal jati hai
Jis pal wo kabhi mere sath hota hai…
Maayus chehre ko is tarah hansa deti hai
Shabnam ki chot sahkar jaise, Gulab khila hota hai…
Sochta hun usse ruthkar kar dekhun kabhi
Hansi Dekhkar uski, aisa kahan hota hai…
SHADAB ki dua dua mein shamil hai bas yahi
Dekhiye wo ajnabi, kab mera hota hai….

karwan mohabaat ke kaha rukte hai…..
siyasaton ke zor dillon pe kaha chalte hai…..
koi lakh darwazon ke peeche kead kar
iski mehek ko…….
per jahah se guzar jaye kafilile
aashikon ke…..
vahan patjhard main bhi mohabaat ke
phool khilten hai…….
jor laga le zamana jitna…..
joouda karne ki koshish karta rahe ye…..
chahe zamiee se aasma tak ki diwaron main
chunva de ishq ko…….
par sachche aashikon ko alhadaala khud mai
hi unke mehboob ke didar bakshate hai….
karwan mohabaat ke kahan rukte hai……
siyasaton ke zor dillon pe kaha chalte hai…..

Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah,
Har ek roop main tera intezaar karte hain,
Na tum samet sakogi jise qayamat tak,
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
_______________________________

kya mangu khuda se tume pane ke baad.
kiska karu intzar zindgi main tere aane ke baad.
kyun pyar me jaan luta deta hai log ,
mujhe maloom hua tumhe apna banane ke baad.

_________________________________

Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai,
Dil me basayi hai jo woh apki hi surat hai,
Dur jaana nahi humse kabhi bhulker bhi,
Hume har kadam per aapki zarurat hai.
____________________________________

Na chaho kisi ko itna,
ki chahat aapki majburi ban jaye,
chaho kisi ko itna,
aapka pyaar uske liye jaruri ban jaye
___________________________________

Woh Mil Jatey Hain Kahani Ban Kar,
Dil Main Bas Jatey Hain Nishani Bankar,
Jinhey Hum Rakhtey Hain Apni Aankho Main,
Q Nikal Jatey Hain Woh Pani Bankar.