Sad Urdu Shayari sms

urdu shayari sad

Sad Urdu Shayari sms

Here is a collection of sad urdu shayari and sms

Pathar ki hai Duniya, jazbat nahi samajhti,
Dil me kya hai Woh baat nai samjhti,

Tanha to Chand bhi hai sitaro ke bich,
magar Chand ka dard Bewafa Raat nahi samjhti

Hamari khushi ki baghwan se fariyad na karna,
bhula dena mujko kabhi tum yad na karna,

kiya barbad tune mujhe ye meri badnasibi thi,
iltaza hai kisi aur ko yun barbad na karna….

************************************

Kabhi ro k muskraye, kabi muskra k roe
Uski yaad jab b ayi, ushe bhula k roe,

Ek uska hi nam tha, jise hazar bar likha,
jitna likh k kush hue, usse jiyada mita k roe

************************************

Zindgi ek chahat ka silsila hai,
Koi kisi se mil jata hai to koi kisi se bichad jata hai,

Jise hum mangten hai apni dua mein,
Wo kisi ko bina mange mil jata hai.

************************************

Aye mera janaza uthane waalo,
Dekhna koi bewafa paas na ho,

Agar ho to usse kehna,
Aaj to khushi ka mauka hai udaas na ho

************************************

Hum jee rahe the unka naam lekar,
Wo gujarte the hamara salaam lekar,

Ek din wo keh gaye bhula do humko,
Humne pucha kaise?

Wo chale gaye hath mein jaam dekar

***********************************

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,

Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge

***********************************

Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain

Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain

***********************************

Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or tehhra hua pani hai,

Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai.

***********************************

Ruthne ka haq aap rakhte hai
manane ki chahat hum rakhte hai,

aapke hoton pe muskurahat yu hi bani rahe
yehi dua rab se hum roz karte hai