Shayari has been a way for lovers to share their feelings with their partners, around the world people have used poems to be the means. Here are some lovely Shayari in Hindi which you can share with your loved one. Latest Hindi shayari and sms collection.Nazar Nazar mein utarna Kamaal hota hai,
Nafas Nafas mein bifarna kamal hota hai.
Bulandion pe pahunchna koi kamaal nahi,
bulandio pe theharna kamal hota hai.
Unse Roj milne ko dil chahta hai,
kuch sunane aur sunane ko dil chahta hai,
Tha kisi ke manane ka andaz aisa ki,
Ek bar phir ruth jane ko dil chahta hai…
Na koi kisi ke paas hota hai, Aur na koi kisi se door hota hai,
Pyaar karne wala khud chal kar aajata hai, Jab koi kisi ka naseeb mein hota hai
Kisi ke dil ki mayusi jahan se ho ke gujrai hai,
humari sari chalaki wahan pe kho ke guzarti hai.
Tumhari aur humari raat mein bas farq itna hai,
tumhari so ke guzari hai humari ro ke guzari hai.
Mohabbat Ke Liye Mohabbat Ko Chod Diya Maine,
Baat Choti Thi, Bada Bana Diya UNHONE….
Yeh Khudgarzi Nahi To Aur Kya Hai
Ek Baar Bhi Palat Ke Na Dekha Unhone……
Ho rahi hay bari taizi say fiza aluda…..
Apni dharti ko tabahi say bacha loon to challon…..
Aey Mohiuddin kum nahi duniya main rulaney waley…..
Main zira dair zamaney ko hansa loon to challon.
Tham Kar Kalam Aj Ta Diar Hum Sochty Rehy..
Kia Likhain Kayee Bar Tara Naam Likha Aur Mita Dala ,
Phir Ek Nazam Likhee Jiss Main Tera Milna ..
Teray Sang wo bitey Pal Likhy, Akhar Main Tara Bichernay Wala Pal Likha,
Aur Phir Ess Nazam Ko Ek Naam Dia..
Mohabbat Kuch Nahin Dati Ansoo Kay Siwa Han ….
Mohbaat Kuch Nahin Dati Ansoo Kay Siwa
Tabeer jo mil jati to aik khowab bohut tha,
Jo shakhs bichar gaya, wo nayab bohut tha,
Main kaisay bacha leta Kashti-e-Dil ko,
Darya-e-muhabbat main selab bohut tha…
ussay apni zaat ki fikar thi wo jo mera wakif e haal tha wNoh jo us ki subhe urooj thi woh mera waqt e zawal tha, mera dard woh kaisay janta meri baat woh kaisay manta woh to khud fanna k safar main tha ,usay rokna bhi mohal tha, kahan jao gay mjhay chor kar main yeh poch poch k thak gaya ,woh jawab mujh koi na de saka woh to khud sarapa sawal tha, woh mila to saddiyon baad bhi mera lab per koi gila na tha
Chalo kuch dair hanste hai’n
Mohabbat per inaayat per
Ye be’bunyad batai’n hai’n
Sabhii rishtey sabhii naatey
Zarurat ki hai’n Ejaade’n
Kahin koi nahi marta
kisii ke wastay jaana
Ke sub hai phair lafzo’n ka
Hai saara khel harfo’n ka
I want a love messages